Sabtu, 10 November 2012

Chaaha Hai Tujhko

–MALE–
Chaaha hai tujhko, chaahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai, mere aansu behte hain
Apna to milan hoga, pal pal yeh kehte hai
Kya yeh zindagaani hai, bas teri kahaani hai
Bas teri kahaani hai yeh jo zindagaani hai
Chaaha hai tujhko, chaahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyaar na hoga kam
Teri voh baatein, voh chaahat ki rasmein
Jhoothe the vaadein, kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya yeh sach hai, bas itna keh de
Toot jaaye na lamha aitbaar ka
De koi sila mere intezaar ka
–FEMALE–
Chaaha hai tujhko, chaahoongi har dam
Marke bhi dil se yeh pyaar na hoga kam
Teri hoon teri, jo chaahe kasam le le
Mujhko hamraahi tu apne gham de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzilein meri
Mere saath jaayengi mushkilein meri
–MALE–
Chaaha hai tujhko, chaahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyaar na hoga kam
–FEMALE–
Tu saamne hai mere, phir kyoon yeh doori hai
Tujhe kaise bataaoon main, haai kya majboori hai
Yeh bhi koi jeena hai, sirf aansu peena hai
Sirf aansu peena hai, yeh bhi koi jeena hai

Tidak ada komentar:

Posting Komentar